waqt k saath
tum badley,
waqt badla
phir ek pari mili
pyari si
dulari si
jis din usney
meri goad mey apna sarr rakha
yu.n laga
ki Mana
sach mey meri goad mey hai
badey pyar sey boli
"didi, batao
kya pareshan karta hai tumko..?"
Mei rok na saki,
Na khud ko,
na apney aansuo.n ko
na mana k kareeb hoaney k ehsaas ko
sab bata dia
phoot phoot kar roi thi shayad
tab sey
mei apni Mana ki baatein
usi sey karti hu.n
Ek din
vo boli
"Didi, jo aaya hi nahi, vo jaa kaisey sakta hai?
Kyu Mana naam k sapney k saath til til marti ho?"
Dukh hua tha
par meiney samjhaya
Meri Mana sapna hi reh gayi ho bhaley...
par meine
uss khwaab ko jia hai
har par,
har lamha...
Mana kabhi nahi maregi
mei jab tak hu.n
tab tak vo zinda rahegi
mere saath, mere andar...